Sarkari Yojana List 2025: Top 10 Best Schemes Jo Garibon Ki Zindagi Badal Degi!

Sarkari Yojana List 2025: Garibon Ke Liye 10 Badi Yojnaayein, Janiye Kaise Le Laabh

Bharat sarkar garibon aur aam logon ke liye kai tarah ki Sarkari Yojana chalati hai, lekin jaankari na hone ke karan bahut se log inka fayda nahi utha paate.

Aaj hum aapko 10 aisi badi yojanaon ke baare mein batane ja rahe hain jo seedha garibon ki madad karti hain. Chahe ghar banana ho, ilaj karwana ho, ya rashan lena ho—sarkar har kadam par aapke saath hai.


Table of Contents

  1. Pradhan Mantri Awas Yojana (PMAY)
  2. Pradhan Mantri Ujjwala Yojana
  3. Ayushman Bharat Yojana
  4. Pradhan Mantri Garib Kalyan Anna Yojana
  5. Pradhan Mantri Jan Dhan Yojana
  6. Rashtriya Samajik Sahayata Karyakram (Pension)
  7. PM Kisan Samman Nidhi
  8. MNREGA (Rojgar Guarantee)
  9. Sukanya Samriddhi Yojana
  10. Atal Pension Yojana
  11. Conclusion

1. Pradhan Mantri Awas Yojana (PMAY)

Yeh Sarkari Yojana un logon ke liye hai jo garibi rekha se neeche (BPL) aate hain aur jinke paas pakka makan nahi hai.

  • Laabh: Sarkar ghar banane ke liye ₹2.5 Lakh se ₹3.5 Lakh tak ki aarthik madad deti hai.
  • Note: Yeh raashi har rajya mein thodi alag ho sakti hai kyunki rajya sarkar bhi isme yogdan deti hai.

2. Pradhan Mantri Ujjwala Yojana

Gareeb mahilaon ko dhuyein se bachane ke liye yeh yojana chalayi gayi hai.

  • Free Connection: Iske tahat Gas Connection, Chulha aur Regulator muft diya jata hai.
  • Subsidy: Har mahine cylinder bharwane par ₹300 ki Subsidy seedhe bank khate mein aati hai. Yani agar cylinder ₹900 ka hai, toh aapko sirf ₹600 lagenge.

3. Ayushman Bharat Yojana

Yeh duniya ki sabse badi health insurance scheme hai.

  • 5 Lakh ka Bima: Har gareeb pariwar ko saal mein ₹5 Lakh tak ka muft ilaj milta hai.
  • Cover: Isme Sarkari aur Private dono tarah ke hospitals shamil hain. Surgery aur operation ka kharch bhi isme cover hota hai.

Zaroor Padhein: Delhi Pollution News: Gas Chamber Bani Dilli! 18 Dec Se In Gaadiyon Ki Entry Band


4. Pradhan Mantri Garib Kalyan Anna Yojana

Bhookh-mukt Bharat ke liye yeh Sarkari Yojana bahut mahatvadakaanshi hai.

  • Free Rashan: Jinke paas Ration Card hai, unke pariwar ke har sadasya ko 5 Kilo Rashan (Gehu/Chawal) har mahine muft diya jata hai.

5. Pradhan Mantri Jan Dhan Yojana

Ab tak lagbhag 55 crore log iska hissa ban chuke hain.

  • Zero Balance Account: Bina paise jama kiye khata khulwaya ja sakta hai.
  • Insurance: Khata dharak ko ₹2 Lakh ka Accidental Insurance muft milta hai. Iske liye saal mein sirf ₹20-25 premium kat-ta hai.

6. Rashtriya Samajik Sahayata Karyakram (Pension)

Buzurgon, vidhwaon aur viklangon ke liye yeh yojana sahara hai.

  • Laabh: Har mahine ₹1000 se ₹3000 tak ki pension di jati hai.
  • Rajya: Delhi aur Haryana mein yeh raashi sabse zyada (₹3000) hai, jabki Bihar aur Bengal mein ₹1000-₹2000 ke beech hai.

7. PM Kisan Samman Nidhi

Kisanon ko kheti mein madad karne ke liye yeh yojana hai.

  • Laabh: Har saal kisanon ke khate mein ₹6000 teen kishton mein bheje jate hain.

8. MNREGA (Rojgar Guarantee)

Gramin ilakon mein rozgar sunishchit karne ke liye yeh scheme hai.

  • 100 Din Ka Kaam: Sarkar har saal kam se kam 100 din ke rozgar ki guarantee deti hai.

9. Sukanya Samriddhi Yojana

Beti bachao, beti padhao ke tahat yeh scheme bahut faydemand hai.

  • Laabh: Aap apni beti ke naam par choti raashi (₹250-₹500 mahina) jama kar sakte hain.
  • Interest: Sarkar ispar sabse zyada byaj deti hai. Jab beti 21 saal ki hogi, toh padhai ya shaadi ke liye ek badi raashi milegi.

10. Atal Pension Yojana

Yeh yojana un logon ke liye hai jo apne budhape ko surakshit karna chahte hain.

  • Age: 18 se 40 varsh ke log jud sakte hain.
  • Laabh: 60 saal ki umar ke baad ₹1000 se ₹5000 tak ki pension har mahine milegi. Agar khata dharak ki mrityu hoti hai, toh patni ko pension milti rahegi.

Conclusion: Fayda Kaise Uthayein?

Yeh thi 10 sabse badi Sarkari Yojana jo garibon ki zindagi badal rahi hain. Agar aap inme se kisi bhi yojana ke liye paatra (eligible) hain, toh aaj hi apne nazdiki CSC center ya bank mein sampark karein.

Agar aap chahte hain ki main kisi specific yojana par detail video ya article banaun, toh comment karke zaroor batayein.

Aapne ab tak kis yojana ka labh liya hai? Comment mein batayein!